be-laus ho jo aisa bashar dhund rahe hain goya ki wo sahra mein shajar dhund rahe hain hum ahl-e-junun dard-e-mohabbat ke hain khugar marham ki tarah zakhm-e-jigar dhund rahe hain ikhlas-o-mohabbat ke shajar katne wale kyon mehr-o-murawwat ke samar dhund rahe hain wo jin ke liye tishna thin be-khwab nigahen khud aaj meri pyasi nazar dhund rahe hain karte nahin sailab-e-masail ka mudawa akhbar sabhi taza khabar dhund rahe hain patthar ke makin rahte hain patthar ke nagar mein sinon mein kyon hum un ke sharar dhund rahe hain duniya ki tabahi pe kahan apni nazar hai hum roz nae ilm hunar dhund rahe hain sarkash bhi munafiq bhi hain karte nahin tauba 'shama' wo duaon mein asar dhund rahe hain