be-laus hon rishte to bhulae nahin jate

be-laus hon rishte to bhulae nahin jate
fanus sar-e-sham bujhae nahin jate

aankhon ka ye chashma bhi hua khushk mere dost
bekar mein ab ashk bahae nahin jate

hoti hain tabiat mein kai banjh zaminen
phal jin pe mohabbat ke ugae nahin jate

kuchh lafz ada chah ke hote nahin hum se
kuchh waqiye likh kar bhi sunae nahin jate

ab mujh ko tere qurb ki khwahish hi nahin hai
ab mujh se tere naz uthae nahin jate

ho jate hain yaadon ke darichon mein muqayyad
kuchh log suhulat se bhulae nahin jate

hum faqr ke talib hain so mahbub hai yakta
sar hum se har ek dar pe jhukae nahin jate

ho jata hun sairab safar kar ke main in mein
khwabon ke mahal mujh se girae nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close