chalta raha hun aur junun kam nahin kiya

chalta raha hun aur junun kam nahin kiya
raston ne bhi suragh faraham nahin kiya

muddat se khet aankh ke banjar pade hain dost
barson se tere gham ne mujhe nam nahin kiya

ye kya ki laut aaya hun sahra se khali hath
aur mujh pe mere qais ne kuchh dam nahin kiya

donon ki apni apni jagah hai wajud mein
main ne dimagh-o-dil ko kabhi zam nahin kiya

khairaat husn ki hamein tukdon mein di gai
ye kar-e-khair aap ne paiham nahin kiya

us ko bhulae jata hun tartib se 'raza'
ye kaam main ne hijr mein yak-dam nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close