is nae ghar mein bhi har chiz purani kyon hai gar ye surat hai to phir naql-e-makani kyon hai koi khubi bhi nahin naqs bhi lakhon mujh mein tu mere ishq mein is darja diwani kyon hai hijr ki baat karo mujh se kabhi khalwat mein phir ye socho ki meri aankh mein pani kyon hai lucknow shahr mera shahd sa lahja samjhun aap ke shahr mein ye talkh-zabani kyon hai jang hai jahl se 'afrang' qalam hi kafi kya zarurat hai ki shamshir uthani kyon hai