be-mehr-o-wafa hai wo dil-aram hamara kya jaane kya howega anjam hamara kya qahr hai auron se wo milta phire zalim aur muft mein ab nam hai bad-nam hamara ai aab-e-dam-e-tegh-e-sitam-kash bujha pyas hota hai teri chah mein ab kaam hamara labrez kar is daur mein ai saqi-e-kam-zarf mat rakh mai-e-gulgun se tahi jam hamara kis tarah nikal bhagun main ab aankh bacha kar sad chashm se yan hai nigaran dam hamara ye zulf-o-rukh-e-yar hai ai shaikh o barahman billah yahan kufr aur islam hamara baiat ka irada hai tere silsile mein jun shana hai ab ai zulf-e-siyah-fam hamara us shokh talak koi na pahuncha saka hamdam juz-huqqa yahan bosa ba-paigham hamara kya kahiye kis andaz se sharmae hai wo shokh taqriban agar le hai koi nam hamara sayyaad se kahte the ki be-baal-o-pari mein aazad na kar bad hai kuchh anjam hamara parwaz ki taqat nahin yan ta-sar-e-diwar kyunkar ho pahunchna ba-lab-e-baam hamara is ishq mein jite nahin bachne ke 'nasir' aah ho jaega ek roz yun hi kaam hamara