main ret ka mahal hun mere pasban darakht sine pe rok lete hain sab aandhiyan darakht dekhe gae the jis ke tale do jawan badan logon ne tukde tukde kiya wo jawan darakht dhundenge ab parind kahan sham ko panah jangal ki aag kha gai sab daliyan darakht phaldar tha to ganw use pujta raha sukha to qatl ho gaya wo be-zaban darakht suraj tha dukh ka sar pe ki thin gham ki barishen dasht-e-safar mein mere bane saeban darakht kaisi hawa chali hai ki phir chikh chikh kar sab ko suna gae hain meri dastan darakht sau bar mere jism ko chhu kar gai bahaar phir bhi hun 'ashk' sukha hua nim-jaan darakht