hum apne aap se begane thodi hote hain surur-o-kaif mein diwane thodi hote hain tabah soch-samajh kar nahin hua jata jo dil lagate hai farzane thodi hote hain barah-e-rast asar dalte hain sachche bol kisi dalil se manwane thodi hote hain jo log aate hain milne tere hawale se nae to hote hain anjaane thodi hote hain isi zamin ke ghazalon se hote hain aabaad dilon ke dasht pari-khane thodi hote hain hamesha hath mein rahte hain phul un ke liye kisi ko bhej ke mangwane thodi hote hain khayal-o-khwab ki rahti hai garm-bazari dimagh-o-dil kabhi virane thodi hote hain na aaen aap to mahfil mein kaun aata hai jale na shama to parwane thodi hote hain kisi gharib ko zakhmi kare ki qatl kare nigah-e-naz pe jurmane thodi hote hain 'shuur' tum ne khuda jaane kya kiya hoga zara si baat ke afsane thodi hote hain