be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai

be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai
han dekhna is dil ki chubhan kam to nahin hai

manzil to jahan chahenge qadmon se lagegi
waise ye haqiqat hai thakan kam to nahin hai

ye dhyan hamesha rahe o bhulne wale
chhaalon ki tapish dil ki jalan kam to nahin hai

phir ho koi paiman karen phir tujh pe bharosa
ye hausla ai ahd-shikan kam to nahin hai

raste mein zara ham-safaro dekhte rahna
kanton ke bichhane ka chalan kam to nahin hai

rakhti hai khayal is ka bahut kuchh meri taqdir
pahle se mere dil ki kudhan kam to nahin hai

wo gham hai ki yak-guna asiri ka hai aalam
ye sarzanish-e-ranj-o-mehan kam to nahin hai

kya baat hai ab tak jo salamat hai nasheman
kuchh be-rukhi-e-ahl-e-chaman kam to nahin hai

ye kah ke tujhe dhundegi duniya 'shafaq' ek roz
mahfil mein koi sahab-e-fan kam to nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close