bhiD mein KHud ko ganwane se zara sa pahle

bhid mein khud ko ganwane se zara sa pahle
mujh ko milta wo zamane se zara sa pahle

hijr ki hum ko kuchh aisi buri aadat hai ki hum
zahr kha len tere aane se zara sa pahle

garche pakde na gae dosto lekin hum bhi
chor the shor machane se zara sa pahle

kuchh nahin socha parindon se shajar chhin liye
dasht mein shahr basane se zarra sa pahle

dhul the tum mere qadmon se lipatne pe musir
khak the chaak pe jaane se zarra sa pahle

ja-e-ibrat hai ki phutin na tumhaari aankhen
mujhe yun aankh dikhane se zara sa pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close