be-mehri-e-wafa ne puchho na kya diya hai aah-e-wida-e-shab ne sina jala diya hai nala-kanan hain bulbul bhanwaron mein be-dili hai ab ke wo bijliyon ne gulshan jala diya hai bazi pe apne sar ki ek husn-e-be-badal se hum ne mohabbaton ka nara laga diya hai andhi mohabbaton ne har sahab-e-wafa ko dariya dikha diya hai sahra dikha diya hai phirte idhar udhar hain logo makan-ba-sar hain muddat se chain apna hum ne ganwa diya hai lahren uchhal padin hain ek naznin ne apne pani mein panw rakh kar mahshar utha diya hai jis ko bhi saunp dala 'adil' nizam dil ka mushkil usi ne mera jina bana diya hai