be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna jis ke ye ausaf koi us se ho kya aashna tang ho sae se apne jis ko ho na-ashna wo but-e-wahshi-e-tabiat kis ka hoga aashna wah wah ai dil-bar-e-kaj-fahm yunhi chahiye hum se ho na-ashna ghairon se hona aashna bad-mizaji na-khushi aazurdagi kis waste gar bure hum hain to ho jiye aur se ja aashna ye sitam ye dard ye gham aur alam mujh par hua kash ki tujh se main ai zalim na hota aashna ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bewafa kis tawaqqo par bhala ho koi tera aashna aashna kahne ko yun to aap ke howenge sau par koi ai mehrban aisa na hoga aashna khair-khwah o mukhlis o fidwi jo kuchh kahiye so hun aib kya hai gar rahe khidmat mein mujh sa aashna aashnai ki tawaqqoa kis se ho 'bedar' phir ho gaya begana jab aisa hi apna aashna