be-nawai ne meri had se guzar jaane diya wo jo mujh se chahta tha main ne kar jaane diya phir kureda aur ji-bhar kar namak-pashi bhi ki pahle us ne mere dil ke zakhm bhar jaane diya rok kar rasta bata dete ki khud ko jaan le tum ne kaise us ko khud se be-khabar jaane diya ab khata-kari se koi rokne wala nahin ruh ki zinda sada ko main ne mar jaane diya jaan ki bazi laga kar bhi bacha late use tum ne gahre paniyon mein kyun utar jaane diya kaisi aaraish hui be-shana-o-be-aina gesuon ko us ne bikhra kar sanwar jaane diya faisla talta raha shunawai ki takhir se khud adalat ne gawahon ko mukar jaane diya wo to aaya tha jala kar apni sari kashtiyan tum ne kis dil se use ba-chashm-e-tar jaane diya