shuur-e-nau-umr hun na mujh ko mata-e-ranj-o-malal dena ki mujh ko aata nahin ghamon ko khushi ke sanchon main dhaal dena hudud mein apni rah ke shayad bacha sakun main wajud apna main ek qatra hun mujh ko dariya ke raste par na dal dena agar khala mein pahunch gaya to palat ke wapas na aa sakunga tum apni hadd-e-kashish se uncha na mujh ko yaro uchhaal dena wo suratan aadmi hai lekin mizaj se mar-e-astin hai agar use aastin mein rakhna to zahr pahle nikal dena na jaane khidki se jhankti ye kiran kise rasta dikha de tum apne kamre ki khidkiyon par dabiz parde na dal dena sukut-e-shab todne ki khatir bhi koi hangama sath rakhna na sham hote hi har tamanna ko qaid-khane main dal dena ye hum ne mana ki tum mein suraj ki si tapish hai magar ye sun lo ki hum samundar hain aur aasan nahin samundar ubaal dena