be-niyaz dahr kar deta hai ishq be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq kam-nihad-o-be-sabaat insan mein jaane kya kya jama kar deta hai ishq kaun jaane us ki ulti mantiqen tute hathon mein sipar deta hai ishq pahle kar deta hai sab aalam siyah aur phir apni khabar deta hai ishq jaan dena khelte hanste hue qatl hone ka hunar deta hai ishq kat giren aur phir bhi qaem hain safen kitne bazu kitne sar deta hai ishq sar-barahna hain ana gumbad jo the aandhiyon se sau ko bhar deta hai ishq dard-mandi par jo qaem hon unhen nur-afza chashm-e-tar deta hai ishq ek bojhal raat kat jaane ke baad ek lamhe ko sahar deta hai ishq ye samajh tum ko bhi hogi sahibo dil ko kyun shoalon mein dhar deta hai ishq chal nikalne ka irada bandhiye dekhiye samt-e-safar deta hai ishq qadr hai jis ki khiyam-e-hur mein aabru ka wo guhar deta hai ishq