buland-o-past ka har-dam khayal rakhna hai hamesha hath mein kar-e-muhaal rakhna hai wo mujh se talib-e-baiat hua hai aur mujhe junun ke hath pe dast-e-sawal rakhna hai koi to aa ke ginega jarahaten dil ki hara-bhara hamein taq-e-malal rakhna hai mere charagh ki lau se musabqat kaisi mujhe usi pe uruj-o-zawal rakhna hai kahin to khatm hua hoga raat ka afsun wahin pe uqda-e-subh-e-visal rakhna hai shikast-e-be-hunari ki sanad nahin milti giraft mein abhi kilk-e-kamal rakhna hai wo mehrban nahin hai to phir khafa hoga koi to rabta us ko bahaal rakhna hai bajae us ke ki hum be-hison mein gin liye jaen sukhan ke sath hi husn-e-majal rakhna hai nazar na aae qalam-rau mein koi harf-e-junun tamam zer-o-zabar paemal rakhna hai