painda husn-o-zinat-e-bagh-e-jahan nahin wo kaun si bahaar hai jis ko khizan nahin waqif wo mere haal se main un ke haal se sharm-o-haya se guftugu go darmiyan nahin us ki nigah phirte hi sab hum se phir gae wo mehrban nahin to koi mehrban nahin ai baada-nosh pita hai khalwat mein chhup ke tu wo kaun si jagah hai bata wo jahan nahin ulfat ka ye asar hai ki rag rag mein tis hai main kya bataun dard kahan hai kahan nahin duniya ho bad-guman nahin is ka gham mujhe ai dil hazar shukr ki wo bad-guman nahin