be-rahm dil ki himaqaton ke asir hain tabhi sar-nigun hain nadamaton ke asir hain shab-e-wasl ishq ki chandni ka ghurur the wahi log hijr ki wahshaton ke asir hain hue sar ba-kaf hain jo aandhiyon ki udan par ye charagh ishq ki hurmaton ke asir hain jinhen apni quwwat-e-zabt pe kabhi naz tha wahi ashk dard ki shiddaton ke asir hain koi ishq tha jo kisi ke jaane se mar gaya koi zakhm hijr ki iddaton ke asir hain jinhen ai khuda teri aayaton se hi bughz hai wahi bahr-o-bar ki najasaton ke asir hain kahan wo zamin ko suna sake hain nida-e-dil mere lafz arsh ki wusaton ke asir hain jinhen dan kar ke chale gae ho azab-e-jaan wo ana-parast se ibraton ke asir hain hami sher likhte hain tir-o-neza ki nok par hami sar-phire hain baghawaton ke asir hain kabhi tum naya koi zakhm do ki suna sakun abhi sher gham ki samaaton ke asir hain wo khuda-parast 'khalil' jo sar-e-dar hain hum unhi ke qurb ki lazzaton ke asir hain