be-rang bade shahr ki hasti bhi wahin thi ek rang udati hui titli bhi wahin thi bazar ke jadu ki na thi kat mere pas jo chiz buri thi wahi achchhi bhi wahin thi bas ek tera chehra hi na tha mahfil-e-gul mein bela bhi tha champa bhi chameli bhi wahin thi is badh mein karta tha jahan bhi main kinara andar se ubalti meri naddi bhi wahin thi sailab-e-badan us ka jo aaya to gaya main har chand mere jism ki kashti bhi wahin thi ai ishq jahan tu ne mujhe jama kiya tha mitti meri aakhir ko bikharni bhi wahin thi afsos gai qabr bhi 'ehsas'-miyan ki ye qabr jahan thi meri mitti bhi wahin thi