dekhte hain raqs mein din raat paimane ko hum saqiya ras aa gae hain tere mai-khane ko hum le ke apne sath ek khamosh diwane ko hum ja rahe hain hazrat-e-naseh ko samjhane ko hum yaad rakkhenge tumhaari bazm mein aane ko hum baithne ke waste aghyar uth jaane ko hum husn majbur-e-sitam hai ishq majbur-e-wafa shama ko samjhaen ya samjhaen parwane ko hum rakh ke tinke dar rahe hain kya kahega baghban dekhte hain aashiyan ki shakh jhuk jaane ko hum uljhanen tul-e-shab-e-furqat ki aage aa gain jab kabhi baithe kisi ki zulf suljhane ko hum raste mein raat ko mudbhed saqi kuchh na puchh mud rahe the shaikh-ji masjid ko but-khane ko hum shaikh-ji hota hai apna kaam apne hath se apni masjid ko sambhaalen aap but-khane ko hum do ghadi ke waste taklif ghairon ko na de khud hi baithe hain teri mahfil se uth jaane ko hum aap qatil se masiha ban gae achchha hua warna apni zindagi samjhe the mar jaane ko hum sun ke shikwa hashr mein kahte ho sharmate nahin tum sitam karte phiro duniya pe sharmane ko hum ai 'qamar' dar tu ye hai aghyar dekhenge unhen chandni shab mein bula laen bula lane ko hum