wo daur qarib aa raha hai jab dad-e-hunar na mil sakegi us shab ka nuzul ho raha hai jis shab ki sahar na mil sakegi puchhoge har ek se hum kahan hain aur apni khabar na mil sakegi aasan bhi na hoga ghar mein rahna taufiq-e-safar na mil sakegi khanjar si zaban ka zakhm kha ke marham si nazar na mil sakegi is rah-e-safar mein saya-e-afgan ek shakh-e-shajar na mil sakegi jaoge kisi ki anjuman mein par us se nazar na mil sakegi ek jins-e-wafa hai jis ko har-su dhundoge magar na mil sakegi sailab-e-hawas umad raha hai ek tishna nazar na mil sakegi