dasht-e-hu se to kabhi bagh-e-nawa se guzra

dasht-e-hu se to kabhi bagh-e-nawa se guzra
roz main ek nai aab-o-hawa se guzra

thartharaati thi zamin kanp rahe the aflak
saneha ho ke mere dast-e-dua se guzra

bagh mein baad-e-saba aag lagati guzri
shoala-e-hijr dil-e-baad-e-saba se guzra

ungliyon mein teri aabaad hai ek shahr-e-hunar
ye guman bhi tere naqsh-e-kaf-e-pa se guzra

kis liye chand sitaron ne kiya mera tawaf
kaun ye aaj mere ghaar-e-hira se guzra

meri aankhon mein shararon ne kiya aa ke hujum
jab mera shauq-e-ziyan kali ghata se guzra

wo gali thi teri han teri gali thi shayad
aisa mahsus hua ku-e-shifa se guzra

waqt ne kat diye the par-e-parwaz mere
dast-o-pa marta saffak khala se guzra

is zamin par na koi dar hai na darwaza magar
jo bhi guzra hai yahan se liye kase guzra

main hi main khud ko nazar aaya wahan par 'yawar'
jab tajassus mera kohsar-e-nida se guzra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close