be-rang-o-nur chand hai yun aasman mein bhuka faqir jaise khuda ke dhiyan mein chhanw ka le raha hai maza dhup mein koi koi sulag raha hai kahin saeban mein kis chiz ko kharidne nikle ho jaan-e-man kya shai talash karte ho khali dukan mein wo muttahid hain dars-e-musawat ke baghair hum dars le ke bat gae ansar-o-khan mein fursat nahin ki fikr-e-marammat kare koi muddat se ek darar padi hai makan mein pakki haweliyon mein thahar kar laga 'fahim' rishton ka ehtiram hai kachche makan mein