dekhti hai nigah pani mein takht-e-alam-panah pani mein hum se sailab ka maza puchho hum hue hain tabah pani mein kya samajhte hain aap ganga-jal dhul gae kya gunah pani mein main sunata hun pattharon ko ghazal aur hoti hai wah pani mein kashti-e-dil ko ab panah kahan lahr hai be-panah pani mein wo meri mamlikat mein aa hi gae main hua baadshah pani mein mauj hai ya ada hasinon ki gah sahil pe gah pani mein aa hi jaega rah par dariya tum nikalo to rah pani mein tu bhi tishna hai aur main bhi hun khub hogi nibah pani mein teri aaram-gah sahil par meri aaram-gah pani mein tu bata kyon 'fahim' dub gaya tu raha hai gawah pani mein