jin ki khatir sab se begane hue hae wo lamhe bhi afsane hue phir kisi ke ho na pae umr bhar aap ke ho kar jo begane hue kis se kahiye apne qatil hain wahi the masiha jin ko gardane hue dekhte the hum nigah-e-rahbar warna the rahzan to pahchane hue ab qafas ki zindagi se kya gurez jab yahin taqdir ke dane hue so raha hai nau-e-adam ka zamir ek rida-e-be-hisi tane hue ho gae 'afzal' watan mein ajnabi har gali ke jaane pahchane hue