ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana tum kisi chashm-e-kharidar mein mat aa jaana khak udana inhin galiyon mein bhala lagta hai chalte phirte kisi darbar mein mat aa jaana yunhi khushbu ki tarah phailte rahna har su tum kisi dam-e-talabgar mein mat aa jaana dur sahil pe khade rah ke tamasha karna kisi ummid ke manjdhaar mein mat aa jaana achchhe lagte ho ki khud-sar nahin khuddar ho tum han simat ke but-e-pindar mein mat aa jaana chand kahta hun to matlab na ghalat lena tum raat ko rauzan-e-diwar mein mat aa jaana