dil ki khalish se chain na aae to kya karun banti nahin hai baat banae to kya karun ishq-e-butan ko main ne to samjha tha dil-lagi ye dil-lagi bhi dil ko jalae to kya karun main jam se piyun to gunahgar-e-mai-kashi nazron se apni koi pilae to kya karun main ne hazar bar bhulaya tumhein magar dil se tumhaari yaad na jae to kya karun tujh sa dikhaun aur bhi koi tujhe magar aaina bhi na samne aae to kya karun mana ki bar-e-zist kuchh aisa giran nahin ye bhi magar uthaya na jae to kya karun har ek khushi bhi hoti hai mujh ko payam-e-gham hanste hi hanste aankh bhar aae to kya karun main un se apna qissa-e-gham kah to dun magar koi nazar hi ab na milae to kya karun jis ke liye jahan se begana ho gaya wo bhi na 'sehr' apna batae to kya karun