be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum shahr kahte hain jise hain us ke pas-manzar mein hum sham dubi pad rahe suraj ke dar par shab ki shab subh bikhri chal pade khud ko liye thokar mein hum aagahi tu ne hamein kin wusaton mein gum kiya be-nishan har mulk mein be-asra har ghar mein hum apne hi sahra mein kho jaenge andaza na tha bazgasht apni liye phirte hain apne sar mein hum satwen dar tak pukar aai khudi ko be-khudi aur har dar se jawab aaya nahin hain ghar mein hum teri dastak thi ki sannata wahi har sham ka rahraw-e-koh-e-nida hain ghar ke baam-o-dar mein hum chaar-su sahra mein hai dard-e-anassahra ki gunj kat kar apni zaban rakh aae the patthar mein hum chhan ye sahra ghuti hain is ki chauhad mein sadaen kat ye parbat dabe hain is ki khakistar mein hum ab hamein bhata nahin paiham sadaon ka nuzul ab to khud gunje hue hain gumbad-e-be-dar mein hum kiyan makan taka hai dil ne raat aur din se pare be-zaban hote chale hain qaid-e-baam-o-dar mein hum jaane is rah-raw ki nazren kaun si manzil pe hon ek kanta sa khatakte hain dil-e-rahbar mein hum zahr ka pyala ho pina ya uthani ho salib sadiyon baad aaen magar hote hain is manzar mein hum dasht-dar-dasht aasman-bar-dosh chalte hain 'shahab' hum se banjare janm apna liye thokar mein hum