dagh-e-gham dil se kisi tarah mitaya na gaya main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na gaya umr bhar yun to zamane ke masaib jhele teri nazron ka magar bar uthaya na gaya ruthne walon se itna koi ja kar puchhe khud hi ruthe rahe ya hum se manaya na gaya phul chunna bhi abas sair-e-bahaaran bhi fuzul dil ka daman hi jo kanton se bachaya na gaya us ne is tarah mohabbat ki nigahen dalin hum se duniya ka koi raaz chhupaya na gaya thi haqiqat mein wahi manzil-e-maqsad 'jazbi' jis jagah tujh se qadam aage badhaya na gaya