kya gham jo falak se koi utra na sar-e-khak juz khak nahin koi yahan chaara-gar-e-khak milti hai sharabon ki jagah gard-e-bayaban mai-khane ko jate hain to khulta hai dar-e-khak sahra ko gulistan bade shauq se kah lo yani shajar-e-khak se todo samar-e-khak darman-e-mohabbat hai nishan-e-kaf-e-pa bhi aankhon se laga kar kabhi dekho asar-e-khak aaghosh-e-lahad pahlu-e-madar se siwa hai kis khauf se larzan hai tu ai be-khabar-e-khak be-maqsadi-e-dahr ka mazhar hai tasahul karne ko na ho kaam to insan kare khak lalach ki nazar kaun kisi shakhs ko dekhe aankhon ke ware khak hai aankhon ke pare khak hai kaun jo phulon ki tamanna nahin rakhta ek 'sayyad'-e-diwana ki daman mein bhare khak