be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rang thi un ki gul-badani ye kohkan-o-majnun ki nazar shirin bhi bani laila bhi bani dekhe hue un ko der hui har naqsh abhi tak taza hai be-gana-washi mastana-rawi jadu-nazari shirin-sukhani hum apne hi ghar mein rahte the jab teri nazar mein rahte the ab roz satati hai hum ko ai dost watan mein be-watani phulon mein jhalakte hain chehre shakhon pe guman aaghosh ka hai kuchh aisi basi hai nazron mein gul-pairahani nazuk-badani nazron mein na be-mehri ki ada baaton mein na wo khushbu-e-wafa kitne hi dilon ko tod gai zalim ki jabin ki be-shikani us bazm-e-tarab mein hansne par majbur hamein qismat ne kiya phulon se jahan shoale lapken saghar mein ghule hire ki kani shoalon mein nikharte hain jauhar qismat pe 'faridi' tanz na kar gham aisi hi neamat hai jis ko pate hain yahan qismat ke dhani