rang ke gahre the lekin dur se achchhe lage adh-khili un khidkiyon par jamuni parde lage khushk hoti bel se diwar chhuti dafatan zard patton ko bachate phul khud girne lage pakke rishton mein daradon ki kahani khul gai dubne wale ko sare hi ghade kachche lage ek takhayyul jism odhe aan baitha samne lafz bhi ab soch ko taswir sa karne lage bail ne bas sing badle aur duniya hil gai chand lamhe shahr ka jughrafiya likhne lage be-zarurat ghonsle par ek chidiya muztarib do parinde aaj pahli bar hain udne lage