mere andar jo ek faqiri hai ye hi sab se badi amiri hai kuchh nahin hai magar sabhi kuchh hai dekh kaisi jahan-giri hai pankhudi ek gulab ke jaisi mere sheron mein aisi meri hai sher kahta hai bech deta hai tujhmen kaisi ye la-zamiri hai tujh se rishta kabhi nahin suljha us ki fitrat hi kashmiri hai ruh aur jism surkh hain khun se phir bhi ye pairahan hariri hai