be-shumaro mere yaro alwidaa murgh-zaro chand taro alwidaa main chala aaram karne kuchh ghadi be-sukuno be-qararo alwidaa ab rahunga nafraton ke shahr mein chahaton ke dawe-daro alwidaa khub guzri jo bhi guzri sath mein gham ke maro rishta-daro alwidaa ai meri har raat ke ham-rahiyo ai sitaro gham-gusaro alwidaa mauj ne ab sahilon ke darmiyan phenk dala ai kinaro alwidaa raat ki aaghosh hai aur hijr hai hosh ke uljhe madaro alwidaa lo mubarak ho tumhein ye bazm ab bas karo ab mat pukaro alwidaa saz naghma jam bazm-e-dostan zist ke jhute sahaaro alwidaa raqs-e-'danish' fikr ke darbar mein ai junun ke thekedaro alwidaa