wo samne hon aur nazar ko khabar na ho barbaad is qadar bhi shuur-e-nazar na ho tujh se ilaj agar na ho ai chaaragar na ho raaz-e-gham-e-mariz magar dar-ba-dar na ho aankhen bichhi hui hain bahut dur dur tak mumkin nahin ki aap ki ye rahguzar na ho mujh par baras pade na kahin barhami-e-zulf jo tere sar bala hai mere dil ke sar na ho tujh se hi mere jazba-e-ulfat mein jaan hai ai zindagi hayat teri mukhtasar na ho hai wusat-e-nigah ko kuchh aur justuju ai hadd-e-kaenat tu hadd-e-nazar na ho rah-e-wafa ka lutf bhi kuchh chal ke dekhiye is rahguzar pe aap ka shayad guzar na ho jazbaat-e-dil ko lakh chhupate ho tum magar is bazm mein kahin koi ahl-e-nazar na ho kya ho gaya hai tujh ko khuda jaane ai 'zaki' dil mein koi ho aur nazar ko khabar na ho