gar subh-dam wo khush-gulu khush-khu nikal pade phulon ko chhod chhad ke khushbu nikal pade teri gali ho log hon ghunghru pahan ke main edi ghuma ke raqs karun tu nikal pade us ne kisi ghazal mein sahaare ki baat ki chaaron taraf se kitne hi bazu nikal pade hum baada-khwar ahl-e-subu sukh ka sans len waiz ki jeb se kahin daru nikal pade khwahish hai main kharid lun 'ghaalib' ka khasta ghar aur moajiza ho sahn se urdu nikal pade us gul-badan ne shakh ko dekha jo pyar se patton pe aankhen ban gain abru nikal pade 'danish' baqa-e-ishq ka manshur tham kar waris nikal pade kabhi bahu nikal pade