be-soz-e-nihan mahw-e-fughan ho nahin sakta jab tak na lage aag dhuan ho nahin sakta wade ko nibhaenge ye wada hai hamara qaul apna kabhi teri zaban ho nahin sakta hain sainkadon dil taj-mahal aaj bhi lekin nazzara tujhe shah-e-jahan ho nahin sakta aankhen hi nahin qabil-e-didar wagarna us yar ka didar kahan ho nahin sakta juz tere koi rahat-e-dil rahat-e-jaan aur ai rahat-e-dil rahat-e-jaan ho nahin sakta 'purnam' abhi arman hain bahut khana-e-dil mein khali ye makinon se makan ho nahin sakta