log hanste hain muskuraate hain

log hanste hain muskuraate hain
kaun sa gham hai jo chhupate hain

dekhiye ho chala sawera bhi
aao ab battiyan bujhate hain

chhodo rahne do ab hatao bhi
baat itni nahin badhate hain

raste par nahin hai koi nahin
hath kis ke liye hilate hain

main bhi khali hun tum bhi khali ho
to chalo donon muskuraate hain

aaj khidki mein chand utra hai
aaj hi id hum manate hain

ho chuka khatm ye drama bhi
aao ab sitiyan bajate hain

bhid ke sath to sabhi hain 'qamar'
hum naya rasta banate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close