kis tarah pyas ko pani se alag rakkha jae mauj-e-dariya ko rawani se alag rakkha jae ab mera zikr kiya jae kisi aur tarah mujh ko ab meri kahani se alag rakkha jae warna ho jaegi ab is se mohabbat mujh ko mujh ko is dushman-e-jaani se alag rakkha jae kaise raja ke faraez ko kiya jae kam kaise tanhai ko rani se alag rakkha jae tab hi khul paega maqsad meri in baaton ka gar inhen lafz-o-maani se alag rakkha jae ishq is umr mein hota hai junun-khez bahut ishq ko ahd-e-jawani se alag rakkha jae