be-tabi-e-dil ne zar-pa kar de de patka utha utha kar ghar mein dawa na husn ka kar yusuf se nikal ke samna kar zulfon ko na chhod tu badha kar nazuk hai girega jhonk kha kar baithe jo wo shab naqab utha kar bujhne lagi shama jhilmila kar barbaad na kar tu aabru ko manind-e-habab sar utha kar us gul ki mizha ne mar dala kante ki tarah sukha sukha kar be-tabi-e-dil agar dikhaun bijli rah jae tilmila kar saffak ne band band kata choten marin jhuka jhuka kar allah re sozish-e-dil ai yar mara kis aag mein jala kar paire koi khak bahr-e-gham mein aakhir duba main dhab-dhaba kar phabti kahti hain abr-e-tar ke achchhi sujhi mujhe rula kar wo mast hain arsh par tike hath nashe mein gire jo ladkhada kar gard-e-gham ne zamin jhakai chhoda mujhe khak mein mila kar bose ke sawal par wo bigde munh ki khai zaban hila kar nala koi ban pada jo hum se aflak ko rakh diya mita kar khauf-e-dozakh se kanpta hun saqi mujhe jam de tapa kar wo naza mein haal sun ke roe kaam aai zaban ladkhada kar qissa dil se utha dui ka parchha ho jae faisla kar jab kuch kiya 'saba' adam ko rah jaenge yar khak uda kar