is girya-e-paiham ki aziyyat se bacha de aawaz-e-jaras ab ke baras mujh ko hansa de ya abr-e-karam ban ke baras khushk zamin par ya pyas ke sahra mein mujhe jina sikha de main bhi teri khushbu hun meri samt bhi tu dekh mohlat tujhe gar silsila-e-mauj-e-saba de suraj ne mujhe barf kiya hai to tujhe kya kiya tujh ko agar barf mujhe aag laga de aisa bhi nahin hai ki faqat khak-nashin hun aa jae hawa aa ke meri khak uda de khushbu ki tarah dar-badri khu ho meri gar hai shak to mujhe meri nigahon mein gira de kante ki jarahat se bhi mar jate hain kuchh log rakh hausla itni bhi na ab khud ko saza de ya rab teri rahmat ka talabgar hai ye bhi thodi si mere shahr ko bhi aab-o-hawa de kya tera bigadta hai agar chandni shab tu ek bar mujhe phir meri aawaz suna de