be-talab kar ke zarurat bhi chali jae agar

be-talab kar ke zarurat bhi chali jae agar
dar rahi hun ki ye wahshat bhi chali jae agar

sham hote hi sitaron se ye puchha aksar
sham hone ki ye surat bhi chali jae agar

ek tera dard saliqe se sambhaala lekin
dida-e-tar se tarawat bhi chali jae agar

ye to hai khun-e-jigar chahiye lekin ai dil
sher kahne ki riayat bhi chali jae agar

main to hairan pareshan yahi sochti hun
aaina khane se hairat bhi chali jae agar

ek nazar bhar ka hi sauda chalo manzur hamein
kam-nigahi ki ye mohlat bhi chali jae agar

wo gaya hai to mujhe kaam hi ab koi nahin
kya hi achchha ho ki fursat bhi chali jae agar

dil ke malbe mein tamanna ne ye hasrat se kaha
kya ho tamir ki hasrat bhi chali jae agar

teri furqat badi dushwar magar aise mein
yaad karne ki suhulat bhi chali jae agar

ab nashat-e-gham-e-furqat se sawal itna hai
taziya-dari ki lazzat bhi chali jae agar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close