be-tarah aap ki yaadon ne sataya hai mujhe chandni raaton ne aa aa ke rulaya hai mujhe aap se koi shikayat na zamane se gila mere haalat ne majbur banaya hai mujhe aaj phir auj pe hai apna muqaddar shayad aaj phir aap ne nazron se giraya hai mujhe apne begane hue aur zamana dushman be-dimaghi ne meri din ye dikhaya hai mujhe kaun se dasht mein le aaya mujhe mera junun mud ke dekha hai to kuchh khauf sa aaya hai mujhe phir hue aaj baham jam-e-gul o naghma-e-shab phir mere mazi ne 'mumtaz' bulaya hai mujhe