surur-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqa to nahin ye ibtida ki haqiqat hai intiha to nahin sitare tir nigahon se dekhte kyun hain mera junun koi mere liye bala to nahin fareb khae na kyun kar kisi ka sada dil zamana-saz nigahon se aashna to nahin kahin giri to hai bijli zara nazar kije kisi gharib ki palti hui dua to nahin hazar bar khizan se bahaar takrai chaman ka raaz magar aaj tak khula to nahin mizaj-e-husn mukaddar hai kyun khuda jaane is aaine mein koi baal aa gaya to nahin hujum-e-naz mein jalwa-farebiyon ke siwa 'kalim' aur koi hadisa hua to nahin