be tere jaan na thi jaan meri jaan ke bich aan kar phir ke jalaya tu mujhe aan ke bich ek din hath lagaya tha tere daman ko ab talak sar hai khajalat se gareban ke bich tu ne dekha na kabhi pyar ki nazron se mujhe ji nikal jaega mera isi arman ke bich aaj aashiq ke tain kyun na kahe tu dur dur wasta ye hai ki moti hai tere kan ke bich hui zaban lal tere hath se kha ke bida kya fusun padh ke khilaya tha mujhe pan ke bich kuchh to majnun ko halawat hai wahan diwano chhod shahron ko jo phirta hai bayaban ke bich dekh 'hatim' ko bhala tu ne bura kyun mana kya khalal us ne kiya aa ke teri shan ke bich