ehtiram-e-lab-o-rukhsar tak aa pahunche hain bul-hawas bhi mere mear tak aa pahunche hain jo haqaeq the wo ashkon se ham-aghosh hue jo fasane the wo sarkar tak aa pahunche hain kya wo nazron ko jharoke mein muallaq kar den jo tere saya-e-diwar tak aa pahunche hain apni taqdir ko rote rahen sahil wale jin ko aana tha wo manjdhaar tak aa pahunche hain ab to khul jaega shayad teri ulfat ka bharam ahl-e-dil jurat-e-izhaar tak aa pahunche hain ek tum ho ki khuda ban ke chhupe baithe ho ek hum hain ki lab-e-dar tak aa pahunche hain