jo abhi mera hai tere sang hona chahiye chahta hun hath yun bhi tang hona chahiye bas yahi kuchh soch kar dil mein tere main aa basa koi is ghar mein tera pasang hona chahiye kab talak ye band kamre aur gali-kuchon ka khauf zindagi mein koi to aahang hona chahiye pahle phere mein to duniya mujh se pichhe rah gai pair mein ab ke mere kuchh lang hona chahiye koi maujon se yunhi atkheliyan karte rahe aur sahil par kisi ko tang hona chahiye sang-dil ladkon se majnun ko bachane ke liye hath mein tere bhi laila sang hona chahiye titliyan 'manzar' ladakpan mein jo hum ko de gain apne hathon par wahi ab rang hona chahiye