be-thikane hai dil-e-gham-ghin thikane ki kaho sham-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho han na puchh ek giraftar-e-qafas ki zindagi ham-safiran-e-chaman kuchh aashiyane ki kaho ud gaya hai manzil-e-dushwar mein gham ka samand gesu-e-pur-pech-o-kham ke taziyane ki kaho baat banti aur baaton se nazar aati nahin is nigah-e-naz ki baaten banane ki kaho dastan wo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilane ki kaho kuchh dil-e-marhum ki baaten karo ai ahl-e-ilm jis se virane the aabaad us diwane ki kaho dastan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai jo azal se chhid gaya hai us fasane ki kaho ye fusun-e-nim-e-shab ye khwab-saman khamushi samri fan aankh ke jadu jagane ki kaho koi kya khaega yun sachchi qasam jhuti qasam us nigah-e-naz ki saugandh khane ki kaho sham hi se gosh-bar-awaz hai bazm-e-sukhan kuchh 'firaq' apni sunao kuchh zamane ki kaho