hadson hi mein zindagi ji hai hum ne qiston mein khud-kushi ki hai jhuk ke jina hamein nahin aata aur aawaz bhi kuchh unchi hai aap se kuchh gila nahin sahab apni taqdir hi kuchh aisi hai sher padhna yahan sambhal ke miyan aur basti nahin ye dilli hai chehra us ka kitab jaisa hai aur rangat gulab ki si hai hum ne 'rahmat' ghazal ke lahje mein 'mir'-sahib se guftugu ki hai