khulus-e-tamir ho jo shamil sitam ka jazba bura nahin hai wafa karenge wo kya kisi se jinhen shuur-e-jafa nahin hai teri samajh mein na aa sakegi kisi ke ashkon ki qadr-o-qimat abhi hai na-ashna-e-gham tu abhi tera dil dukha nahin hai wafa ki azmat se aashna hain kahen to rudad-e-gham kahen kya tujhe nadamat ho jis ko sun kar wo dastan-e-wafa nahin hai khuda-na-karda tumhaare dil ko koi dukhae to kya karoge nigahen tum ne to aisi pherin ki jaise mera khuda nahin hai wo khoya khoya sa un ka aalam labon pe halki si muskurahat ada ye un ki 'matin' jaise suna bhi hai aur suna nahin hai