chalti rahti hai tasalsul se junun-khez hawa jalta rahta hai magar phir bhi kahin ek diya kisi mahfil mein koi shakhs bahut khul ke hansa waqia ye to ajab aaj yahan pesh aaya yaad aata hai bahut ek purana aangan jis mein pipal ka ghana ped hua karta tha ashk bahte hain to bahte hi chale jate hain rok sakta hai bahaw bhi koi dariya ka raat hum ek ghazal likhte hue rote rahe baz lafzon ko to ashkon ne mita hi dala phir se takra gaya mujh hi se mere dil ka mafad phir se barpa hua ek marka-e-karb-o-bala